Shayari (Allama Iqbal and Faiz Ahmad Faiz)
Dil na-umid to nahin nakam hi to hai
lambi hai ġham ki shaam magar shaam hi to hai.
Woh
Baat Saare Fasaane Mein Jiska Zikr Na Tha,
Woh Baat Unko Bahut Na-Gawaar Gujri Hai.
Dil Se
To Har Moaamla Kar Ke Chale The Saaf Hum,
Kahne Mein Unke Saamne Baat Badal Badal
Gayi.
Be-Dam
Huye Beemar Davaa Kyun Nahi Dete,
Tum Achhe Maseeha Ho Shifa Kyun Nahi Dete.
Aankh
Jo Kuchh Dekhti Hai Lab Pe Aa Sakta Nahi,
Mahb-e-Hairat Hun Ki Duniya Kya Se Kya Ho
Jayegi.
Hajaro
Saal Nargis Apni Be-Noori Pe Roti Hai.
Badi Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deedavar
Paida.
Zameer
Jag Hi Jaata Hai Agar Zinda Ho Iqbal,
Kabhi Gunaah Se Pehle Toh Kabhi Gunaah Ke
Baad.
ḳhudi
ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
ḳhuda
bande se ḳhud puchhe bata teri raza kya hai.
sitaron
se aage jahan aur bhi hain
abhi
ishq ke imtihan aur bhi hain
Nasha
pila ke girana to sab ko aata hai
maza to tab hai ki girton ko thaam le saaqi
Comments
Post a Comment