Shayari (Allama Iqbal and Faiz Ahmad Faiz)
Dil na-umid to nahin nakam hi to hai lambi hai ġham ki shaam magar shaam hi to hai. Woh Baat Saare Fasaane Mein Jiska Zikr Na Tha, Woh Baat Unko Bahut Na-Gawaar Gujri Hai. Dil Se To Har Moaamla Kar Ke Chale The Saaf Hum, Kahne Mein Unke Saamne Baat Badal Badal Gayi. Be-Dam Huye Beemar Davaa Kyun Nahi Dete, Tum Achhe Maseeha Ho Shifa Kyun Nahi Dete. Aankh Jo Kuchh Dekhti Hai Lab Pe Aa Sakta Nahi, Mahb-e-Hairat Hun Ki Duniya Kya Se Kya Ho Jayegi. Hajaro Saal Nargis Apni Be-Noori Pe Roti Hai. Badi Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deedavar Paida. Zameer Jag Hi Jaata Hai Agar Zinda Ho Iqbal, Kabhi Gunaah Se Pehle Toh Kabhi Gunaah Ke Baad. ḳhudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle ḳhuda bande se ḳhud puchhe bata teri raza kya hai. sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain Nasha pila ke gi...